(?)
Quotes are added by the Goodreads community and are not verified by Goodreads. (Learn more)
Vikrmn: CA Vikram Verma

“Maa to Maa hai..
**
Door ho tum.. jo ghar se apne..
To sochte hoge.. office mein baithe..
Maa kaisi hogi? Maa kaisi hogi?
Ghar pe hai, to theek hi hogi.
Kaam mein doobe, tum sochte hoge..
Maa jaagti hogi.. ya soti hogi.
Maa to Maa hai..
Jaag hi rahi hai.. soi nai..
shayad roti hogi.
Sochti hogi tum aaoge..
Dhoondhti hogi kaunsi raah se..
Tum door ho na.. samjhoge kaise.
Darti hai vo..
khali ghar ke kone se..
Jhule ke khali hone se..
Mausam ke badalne se.
tumhare ghar se chalne se.
Puchti hai fir kab aaoge.. bta dena..
Saansein thodi hain.. hak apna jata dena.
Ik baar to din mein baat kiya kar..
Neend achi aati hai.. teri Awaz sunkar..
Teri hasi, teri khushi ke vaaste..
kare sab kurbaan vo tujhpe.
Duaayen deti hogi
Maa to maa hai..
Roti hogi..
Fir chup chaap soti hogi.
***”

Vikrmn: CA Vikram Verma, Guru with Guitar
Read more quotes from Vikrmn: CA Vikram Verma


Share this quote:
Share on Twitter

Friends Who Liked This Quote

To see what your friends thought of this quote, please sign up!

0 likes
All Members Who Liked This Quote

None yet!


This Quote Is From

Guru with Guitar Guru with Guitar by Vikrmn: CA Vikram Verma
17 ratings, average rating, 7 reviews
Open Preview

Browse By Tag